kabhi kabhi hi prayaas hota hai
ek komal si cheez ko paane ka
shayad hi kabhi mujhko ehsaas hua hai
ek meetthe sapne ko chhu jane ka
jisse masumiyat tapakti hai
khuda ki kaifiyat jhalakti hai
kareeb jaun to aisa lage
jaise saari kaaynaat usi mein basti hai
agar hakeekat hai yeh to kya paoon main usko?
ya door se hi usey nihaarta rahun...
kahin is pal ko kho na dun,
khud mein hi is khwaab ko nikhaarta rahun
ek komal si cheez ko paane ka
shayad hi kabhi mujhko ehsaas hua hai
ek meetthe sapne ko chhu jane ka
jisse masumiyat tapakti hai
khuda ki kaifiyat jhalakti hai
kareeb jaun to aisa lage
jaise saari kaaynaat usi mein basti hai
agar hakeekat hai yeh to kya paoon main usko?
ya door se hi usey nihaarta rahun...
kahin is pal ko kho na dun,
khud mein hi is khwaab ko nikhaarta rahun