Ek bansuri wala tha
Jo mere bachpan mein muhalle mein aata tha
Tarah tarah se tarashi hui baansuriyon ke tokri leke
Geet sunata hua gali-muhalle mein chalta jata tha
Baansuri bajani to humein aati nahin thi
Par khareedne ke liye jamghat zaroor lagate the
Fir poore din muhalle mein daud daud ke besuri si dhune bajate the
Ki kabhi bansuri se sur us tarah niklenge, jis tarah is bansuri wale ke hothon se nikalte the
Paise chand hi kamata hoga wo
Aur chappalein bhi ghis chuki thi uski
Par apne bacchhon ko school bhej paane ki jeet par behad khushi dikhata tha
Aur isi tarah aankhon mein ek ummed ki kiran and surili dhuno ke taane baane apni zindagi guzar dena chahta tha…
Kareeb bees saal hue use dekhe hue
Aur ab to muhalle mein koi baansuri nahin khareedta
Suna hai wo bansuri wala ab kisi thekedar ke liye dihadi pe kaam karta hai
Paise shayad utne hi milte honge use
Par ab meethi dhuno ke bajay chaaron taraf machinon ka teekha shor sunai padta hai